Friday, March 30, 2012

Na jane kyu kuch gum sa gaya hai
Dhadkan to hai per kuch tham sa gaya hay hai
Chal rahe the jis raah pe tere bharose hum
Wo raah wo manzil wo waqt kahin guzar sa gaya hai
Aaj fir aankh kuch nam si huee hai
Zindagi ki raftar kuch kam si huee hai
Yaad to tumhari is dil me her waqt hai
Bus hichkiyon ki raftaar kuch tham si gaee hai.

Thursday, August 11, 2011

hum to tumhari yaad me her pal tabah hain
siske hain raat bhar abhi taare gavaah hain

Saturday, August 6, 2011

Dil se nilkli aawaz ko tumne suna to hota,
In aankhon me chhipe jazbaat ko padha to hota,
Khade rahe the hum wahin per bahut der talak,
door jate huey ek baar palat ke dekha to hota.

Friday, August 5, 2011

yadein

Apni yadon se keh do yun sataya na karen
Hum akele ho to humse milney aaya na karen
Tanha hai hum tanha hi rehne de
Soone dil me yun aake use dhadkaya na karen.